Rahat Indori

ye sard raaten bhi ban kar abhi dhuan uD jaen

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
ye sard rāteñ bhī ban kar abhī dhuāñ uḌ jaa.eñ
vo ik lihāf maiñ oḌhūñ to sardiyāñ uḌ jaa.eñ
ḳhudā kā shukr ki merā makāñ salāmat hai
haiñ utnī tez havā.eñ ki bastiyāñ uḌ jaa.eñ
zamīñ se ek ta.alluq ne bāñdh rakkhā hai
badan meñ ḳhuun nahīñ ho to haDDiyāñ uḌ jaa.eñ
bikhar bikhar sī ga.ī hai kitāb sāñsoñ kī
ye kāġhzāt ḳhudā jaane kab kahāñ uḌ jaa.eñ
rahe ḳhayāl ki majzūb-e-ishq haiñ ham log
agar zamīn se phūñkeñ to āsmāñ uḌ jaa.eñ
havā.eñ baaz kahāñ aatī haiñ sharārat se
saroñ pe haath na rakkheñ to pagḌiyāñ uḌ jaa.eñ
bahut ġhurūr hai dariyā ko apne hone par
jo merī pyaas se uljhe to dhajjiyāñ uḌ jaa.eñ
Top Urdushayar.com