use ab ke vafāoñ se guzar jaane kī jaldī thī
magar is baar mujh ko apne ghar jaane kī jaldī thī
irāda thā ki maiñ kuchh der tūfāñ kā maza letā
magar bechāre dariyā ko utar jaane kī jaldī thī
maiñ apnī muTThiyoñ meñ qaid kar letā zamīnoñ ko
magar mere qabīle ko bikhar jaane kī jaldī thī
maiñ āḳhir kaun sā mausam tumhāre naam kar detā
yahāñ har ek mausam ko guzar jaane kī jaldī thī
vo shāḳhoñ se judā hote hue pattoñ pe hañste the
baḌe zinda-nazar the jin ko mar jaane kī jaldī thī
maiñ sābit kis tarah kartā ki har ā.īna jhūTā hai
ka.ī kam-zarf chehroñ ko utar jaane kī jaldī thī