Rahat Indori

sar par sat aakash zamin par sat samundar bikhre hain

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
sar par saat ākāsh zamīñ par saat samundar bikhre haiñ
āñkheñ chhoTī paḌ jaatī haiñ itne manzar bikhre haiñ
zinda rahnā khel nahīñ hai is ābād ḳharābe meñ
vo bhī aksar TuuT gayā hai ham bhī aksar bikhre haiñ
us bastī ke logoñ se jab bāteñ kiiñ to ye jaanā
duniyā bhar ko joḌne vaale andar andar bikhre haiñ
in rātoñ se apnā rishta jaane kaisā rishta hai
nīndeñ kamroñ meñ jaagī haiñ ḳhvāb chhatoñ par bikhre haiñ
āñgan ke ma.asūm shajar ne ek kahānī likkhī hai
itne phal shāḳhoñ pe nahīñ the jitne patthar bikhre haiñ
saarī dhartī saare mausam ek hī jaise lagte haiñ
āñkhoñ āñkhoñ qaid hue the manzar manzar bikhre haiñ
Top Urdushayar.com