Azhar Saeed

halakat-e-dil-e-nashad raegan bhi nahin

Azhar Saeed

halākat-e-dil-e-nāshād rā.egāñ bhī nahīñ
nigāh-e-dost meñ ab koī imtihāñ bhī nahīñ
talāsh-e-dair-o-haram kā ma.aal kyā kahiye
sukūñ yahāñ bhī nahīñ hai sukūñ vahāñ bhī nahīñ
tirī nigāh ne kholā mo.āmla dil kā
nazar zabāñ nahīñ rakhtī pa be-zabāñ bhī nahīñ
usī ko saare zamāne se ham chhupā.e rahe
vo ek baat zamāne se jo nihāñ bhī nahīñ
subūt barq kī ġhārat-garī kā kis se mile
ki āshiyāñ thā jahāñ ab vahāñ dhuāñ bhī nahīñ
nishān-e-qāfila-e-umr DhūñDne vaalo
yahāñ to duur talak gard-e-kārvāñ bhī nahīñ
Top Urdushayar.com