Azhar Saeed

maal-e-dosti kahiye hadis-e-mah-washan kahiye

Azhar Saeed

ma.āl-e-dostī kahiye hadīs-e-mah-vashāñ kahiye
mile dil se zarā fursat to dil kī dāstāñ kahiye
magar is ḳhāmushī se ahl-e-dil kā kuchh bharam to hai
jo kuchh kahiye to saarī umr kī mahrūmiyāñ kahiye
ġham-e-dil avvalīñ daur-e-tamannā kī amānat hai
naved-e-aish agar suniye nasīb-e-dushmanāñ kahiye
jo rakh le ḳhastagī kī sharm aisī barq rahmat hai
gire jo āshiyāñ se duur us ko be-amāñ kahiye
hamārā kyā hai nāseh ham use nā-mehrbāñ kah deñ
par aisā bhī to ho koī ki jis ko mehrbāñ kahiye
kisī se bhī na kahiye hāl-e-dil be-mehr duniyā meñ
yahāñ sab kuchh ba-andāz-e-hadīs-e-dīgarāñ kahiye
bas ab uThiye ki nañg-e-pursish-e-bejā qayāmat hai
kahāñ tak ek ik be-nām se nām-o-nishāñ kahiye
Top Urdushayar.com