Javed Akhtar Bedi

abr ka saya dhup ki chadar tere nam

Javed Akhtar Bedi

abr kā saaya dhuup kī chādar tere naam
is dhartī ke saare manzar tere naam
shab ke girye se fursat kī sabīl kahāñ
jaisā bhī hai apnā muqaddar tere naam
girtī bijlī jaltā nasheman hañste log
mere patthar mere gul-e-tar tere naam
galī galī meñ tez havā kī sargoshī
aur ghar ghar ke sarv-o-sanobar tere naam
chup rah kar maiñ jī luuñ zulm kī nagrī meñ
yā maiñ harf sajā luuñ lab par tere naam
razm meñ saarī sulh kī bāteñ aur 'bedī'
bazm meñ sab chalte hue ḳhanjar tere naam
Top Urdushayar.com