mehr jab tak halqa-e-āfāq meñ aayā na thā
tīrgī hī mo'atabar hogī kabhī sochā na thā
zindagī ke shahr meñ muda-dilī taqdīr thī
jo bhī jān-e-bazm thā us kā koī chehra na thā
pyaas ko aane lagā thā hukmarānī kā hunar
abr kā TukḌā kisī ko yaad bhī aatā na thā
is se pahle aisī shiddat to añdhere meñ na thī
raushnī kā harf hoñToñ se judā hotā na thā
din the lekin inqalāb aane se pahle ke the din
phuul abhī mahkā na thā patthar abhī bolā na thā
dukh ke sūraj ko savā neze pe 'bedī' dekh kar
ḳhvāb sukh ke dekhtā thā aadmī andhā na thā