tabāh ho ke bhī ik apnī aan baaqī hai
baġhāvatoñ kī taḌap ġham kī jaan baaqī hai
ḳhalā meñ Duub ke ham ko bhī ye huā ma.alūm
ki kuchh nahīñ hai magar āsmān baaqī hai
ye mat kaho ki luTī kā.enāt-e-dard tamām
ki zaḳhm zaḳhm ye saarā jahān baaqī hai
maiñ kaise chhoḌ duuñ TuuTe hue dar-o-dīvār
shikasta ḳhvāb kā tanhā makān baaqī hai
na ḳhatm hoñge masā.ib ke silsile 'bāqar'
hazār ḳhaar hue imtihān baaqī hai