Javed Akhtar Bedi

ye apna shahr jo hai dasht-e-be-aman hi to hai

Javed Akhtar Bedi

ye apnā shahr jo hai dasht-e-be-amāñ hī to hai
is e'tibār se dil dard kā makāñ hī to hai
nahīñ hai pursish-e-ahvāl ke liye koī
bas ek majma.a-e-arvāh-e-raftagāñ hī to hai
ye dāstān-e-tamannā ajab sahī phir bhī
bhulā hī degā zamāna ki dāstāñ hī to hai
ye aur baat abhī inqalāb aa jaa.e
hayāt varna abhī tak vabāl-e-jāñ hī to hai
sukūñ kā ek bhī lamha ho kyuuñ muqaddar meñ
ye ahd-e-zīst bhī daur-e-sitam-garāñ hī to hai
rulā diyā hai ghaTā ke sulūk ne 'bedī'
magar ye tishna-labī ek imtihāñ hī to hai
Top Urdushayar.com