tīrgī kī shiddat ko sub.h kā sitārā likh
phailne hī vaalā hai har taraf ujālā likh
razm-e-gāh-e-hastī meñ yuuñ burā na soch apnā
dushmanoñ ke andar ke sulh jo ko achchhā likh
naqsh-e-pā ke jañgal meñ kyā shumār rastoñ kā
hai judā zamāne se lekin apnā rasta likh
be-hisī kā ye jaadū TuuT hī to jā.egā
is liye na qarye ko pattharoñ kā sahrā likh
is nagar ke logoñ ko pahle baḳhsh bīnā.ī
aur baa'd meñ ḳhud ko is nagar kā iisā likh
harf-e-zehn meñ 'bedī' rañg se tahī kab haiñ
sirf terā kāġhaz hai jo abhī hai saada likh