dard paayā hai to ik dard āshnā bhī chāhiye
pattharoñ ke is nagar meñ aa.ina bhī chāhiye
jis kī mahfil meñ sunā.ī diiñ qayāmat ke hurūf
ek aisā paikar-e-saut-o-sadā bhī chāhiye
maiñ to vo insān huuñ jis kī vafā se hai ġharaz
ba.az logoñ ko magar dād-e-vafā bhī chāhiye
ḳhāk-dāñ par zulm hai bechārgī hai ḳhauf hai
charḳh par ik mālik-e-arz-o-samāñ bhī chāhiye
in dinoñ yuuñ to hai sab ko sañg ho jaane kā shauq
ā.ina-ḳhāne meñ rahne kī jagah bhī chāhiye
rut badalne se nahīñ 'bedī' kisī ko bhī ġharaz
sab ko lekin kuchh alag āb-o-havā bhī chāhiye