karūñgā zindagī meñ ḳhalq-āshnā ho kar
savād-e-sañg-e-jahāñ meñ ik aa.ina ho kar
ḳhizāñ kā daur hai aur dil meñ aarzū ye hai
ki maiñ gulāb khilātā phirūñ sabā ho kar
ye chup kā shahr mire saath jo sulūk kare
maiñ chup ke shahr meñ zinda rahūñ sadā ho kar
jo hashr tak rahā duniyā meñ tīrgī kā samāñ
to hashr tak maiñ rahūñgā charāġh-pā ho kar
mire sukūt-o-sadā ke sharīk ho jaao
rah-e-hayāt se guzreñge qāfila ho kar
fanā kā shahr hai ye ziist kā jahāñ 'bedī'
yahāñ maro bhī to paiġhambar-e-baqā ho kar