Javed Akhtar Bedi

raste mein kisi manzil pe bhi aaram na lun

Javed Akhtar Bedi

rāste meñ kisī manzil pe bhī ārām na luuñ
vo musāfir huuñ ki rukne kā kahīñ naam na luuñ
mere hālāt kā muddat se taqāzā ye hai
apne sar zulm se nafrat kā maiñ ilzām na luuñ
habs ke giit hī suntā rahūñ is jañgal meñ
umr bhar dast-e-sabā se koī paiġhām na luuñ
band kar luuñ maiñ ye āñkheñ ki sitam hotā hai
apnī āñkhoñ se zamāne meñ koī kaam na luuñ
Top Urdushayar.com