mohabbatoñ ke safar par nikal ke dekhūñgā
ye pul-sirāt agar hai to chal ke dekhūñgā
savāl ye hai ki raftār kis kī kitnī hai
maiñ āftāb se aage nikal ke dekhūñgā
mazāq achchhā rahegā ye chāñd-tāroñ se
maiñ aaj shaam se pahle hī Dhal ke dekhūñgā
vo mere hukm ko fariyād jaan letā hai
agar ye sach hai to lahja badal ke dekhūñgā
ujāle bāñTne vāloñ pe kyā guzartī hai
kisī charāġh kī mānind jal ke dekhūñgā
ajab nahīñ ki vahī raushnī mujh mil jaa.e
maiñ apne ghar se kisī din nikal ke dekhūñgā