raushnī kā parda hai darmiyāñ tire mere aur pyaar jaarī hai
pyaar meñ mohabbat meñ ham na ḳhud ko badleñge aisī apnī yaarī hai
haath meñ jo āñkheñ haiñ in pe hī faqat takiya kis qadar hai nā-kāfī
kuchh madad bhī lī jaa.e dūsroñ se auroñ se ye bhī hoshiyārī hai
Dhañg hai samā.at kā rañg hai basārat kā be-tarah-o-be-ma.anī
nañg ke liye dauḌeñ ham bhī saarī duniyā meñ ek jañg jaarī hai
surḳh lafz haiñ mere maiñ bhī sher kahtā huuñ aur jab sunātā huuñ
koī bol uThtā hai sher sher meñ tere ek ġham-gusārī hai
sar barahna shāḳhoñ par ek din vo aatā hai aur gulāb khilte haiñ
tajraba hai ye apnā ham ne bhī yahāñ āḳhir zindagī guzārī hai
aañkh vaale sāvan meñ ek baat dekhī hai aur kah bhī duuñ tum se
tishnagī miTātā hai dil kī tishnagī kā ye qudratī shikārī hai
bujh rahī haiñ kyoñ āñkheñ saath māh-o-anjum ke kaun sā ye sūraj hai
zindagī na chhin jaa.e aarzī sī to 'bedī' zindagī hamārī hai