jab siine se marne kā Dar niklegā
aur hī kuchh ye ḳhaak kā paikar niklegā
bo jo rahā huuñ amn-o-amāñ kī fasleñ maiñ
dekhnā kal is ḳhaak se lashkar niklegā
sail banegā hone kā idrāk kabhī
is manzar se aur hī manzar niklegā
duniyā jiite jī jo duniyā ho na sakī
siine se ye armāñ mar kar niklegā
gul-chīnoñ ke zulm kī koī had hī nahīñ
kis din har ik shāḳh se ḳhanjar niklegā
jidd-o-jahd kī jis se bāteñ hotī haiñ
kyā hogā jab ik din muḳhbar niklegā
'bedī' merā qadam hī hogā duniyā meñ
jo hadd-e-imkāñ se bāhar niklegā