mere zarre ke muqaddar meñ hai sahrā honā
ik na ik roz hai mujh ko bhī huvaidā honā
shāyad is vāste pahchān tirī mushkil hai
itnā āsān nahīñ ḳhud se shanāsā honā
itnā biinā huuñ ki gulshan kī havā-ḳhvāhī meñ
dekh saktā nahīñ shāḳhoñ kā barahna honā
dekh is daur meñ ālām-o-masā.ib ke hujūm
dekh is daur meñ insān kā tanhā honā
kitnā āsān hai sar kāTte phirnā 'bedī'
kitnā mushkil hai zamāne kā masīhā honā