Javed Akhtar Bedi

na sarban hai na naqa dikhai deta hai

Javed Akhtar Bedi

na sārbāñ hai na naaqa dikhā.ī detā hai
na-jāne kis kā ye ḳhema dikhā.ī detā hai
bhare jahāñ meñ akelā dikhā.ī detā hai
vo ek shaḳhs jo sachchā dikhā.ī detā hai
musāfiro kahūñ kyā rāhbar ke baare meñ
ba-zāhir aadmī saada dikhā.ī detā hai
kahīñ zamīn kī tah meñ bhī shakl-e-āb nahīñ
kahīñ pahāḌ pe chashma dikhā.ī detā hai
vo aadmī jo kisī par sitam na dekh sake
mujhe vo dekhne vaalā dikhā.ī detā hai
vo tīrgī hai ki kuchh bhī nazar nahīñ aatā
bas ik umiid kā taara dikhā.ī detā hai
vo duur dekh daraḳhtoñ ke jhunD haiñ 'bedī'
vo duur koī jazīra dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com