is ek baat pe mushkil meñ jaañ hai koī sune
ki chup hai aur karāñ-tā-karāñ hai koī sune
sadā yahī hai ki tārāñ ke harf sunñe do
magar koī nahīñ suntā fuġhāñ hai koī sune
jo nazm bhī hai mohabbat kī nazm lagtī hai
ki jism-o-jāñ meñ mohabbat javāñ hai koī sune
chalā gayā hai magar us ke pairahan kī shamīm
ye kah rahī hai vo ab tak yahāñ hai koī sune
kamāl-e-sub.h ke badle hayāt mumkin hai
ye baat sher kī sūrat ayaañ hai koī sune
bahut baḌā bhī hai 'bedī' ye ret kā sahrā
safar isī liye ik imtihāñ hai koī sune