jo dahr kī nazar meñ ḳhudāvand-e-hosh hai
is intihā-e-zulm pe vo bhī ḳhamosh hai
sahrā kī manziloñ se pare hai vo lāla-zār
parde meñ jis kī rut ke koī mai-farosh hai
tahzīb ustuvār kī ḳhvāhish kī raah meñ
nām-e-digar hayāt kā josh-o-ḳharosh hai
kal tū sunegā zulm se merā mukālima
apnā jahān aaj hī muhtāj-e-gosh hai
insāñ pukārtā hai koī inqalāb aa.e
patthar kī baat aur hai patthar ḳhamosh hai