Rahat Indori

ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
ghar se ye soch ke niklā huuñ ki mar jaanā hai
ab koī raah dikhā de ki kidhar jaanā hai
jism se saath nibhāne kī mat ummīd rakho
is musāfir ko to raste meñ Thahar jaanā hai
maut lamhe kī sadā zindagī umroñ kī pukār
maiñ yahī soch ke zinda huuñ ki mar jaanā hai
nashsha aisā thā ki mai-ḳhāne ko duniyā samjhā
hosh aayā to ḳhayāl aayā ki ghar jaanā hai
mire jazbe kī baḌī qadr hai logoñ meñ magar
mere jazbe ko mire saath hī mar jaanā hai
Top Urdushayar.com