sahar-nā-āshnā koī nahīñ hai
magar ab jāgtā koī nahīñ hai
payāmī ban ke aate the parinde
magar ab rābta koī nahīñ hai
shikasta-pā nahīñ haiñ ham darḳhto
kareñ kyā rāsta koī nahīñ hai
koī lauTā nahīñ ghar se nikal kar
magar ye sochtā koī nahīñ hai
bahā lo tum hī apne saath maujo
hamārā aasrā koī nahīñ hai
ham is kī khoj meñ nikle hue haiñ
hameñ apnā pata koī nahīñ hai