bas usī kā safar-e-shab meñ talabgār hai kyā
tū hī ai maah mirā hamdam o ġham-ḳhvār hai kyā
tesha-dar-dast umañD aa.ī hai ābādī tamām
sab yahī kahte haiñ dekheñ pas-e-dīvār hai kyā
haañ isī lamhe meñ hotā hai sitāroñ kā nuzūl
shahr-e-ḳhvābīda meñ koī dil-e-bedār hai kyā
jism to jism hai majrūh huī hai jaañ bhī
apnoñ ke hote hue shikva-e-aġhyār hai kyā
thartharī pattoñ pe hai dard-ba-jāñ haiñ kaliyāñ
tū bhī ai bād-e-sahar darpia.e-āzār hai kyā
lab hilāne kī sakat hai na qadam uThte haiñ
sāmne jo bhī hai daldal meñ giraftār hai kyā