nigāh-e-shauq kyuuñ maa.il nahīñ hai
koī dīvār ab haa.il nahīñ hai
sahar-dam hī gharoñ se chal paḌe sab
koī jaada koī manzil nahīñ hai
sabhī kī nazreñ haiñ kashtī ke ruḳh par
magar is bahr kā sāhil nahīñ hai
kareñ kis se tavaqqo munsifī kī
koī aisā hai jo qātil nahīñ hai