ye chaltī-phirtī sī lāsheñ shumār karne ko
bahut hai kaam sar-e-rahguzār karne ko
guzar rahe haiñ ba-ujlat bahār ke ayyām
paḌā hai raḳht-e-badan taar taar karne ko
gale kī samt mire apne haath baḌhte haiñ
rahā hī kyā hai bhalā e'tibār karne ko
badan ko chaaT liyā hai siyāh kaa.ī ne
abhī to kitne samundar haiñ paar karne ko
abhī se chāñd sitāroñ kī āñhkeñ pathrā.ī
paḌī hai raat abhī intizār karne ko
samajh meñ aa na sakī ye adā gulāboñ kī
chaman meñ aate haiñ siina figār karne ko