mujh ko marne kī koī ujlat na thī
ḳhud se milne kī koī sūrat na thī
dekhte kyā husn kī nairañgiyāñ
aañkh jhapkāne kī bhī fursat na thī
ḳhud-ba-ḳhud ye zaḳhm lau dene lage
mujh ko koī hājat-e-shohrat na thī
uTh rahā hai dil se aahoñ kā dhuāñ
mahfil-e-shab mahfil-e-ishrat na thī
peḌ patte jal ke ḳhākistar hue
dosto vo bārish-e-rahmat na thī
apne chehre ajnabī hote ga.e
un kī ā.ankhoñ meñ koī hairat na thī