Shamim Azar

shahr-e-jaan mein iztirab-e-soz-e-fan dekhega kaun

Shamim Azar

shahr-e-jāñ meñ iztirāb-e-soz-e-fan dekhegā kaun
mere andar ek qulzum maujzan dekhegā kaun
muzmahil sochoñ ke is jhulse hue māhaul meñ
terā husn-e-qāmat-e-sarv-e-saman dekhegā kaun
raat ne āñkhoñ meñ bhar diiñ is qadar tārīkiyāñ
sub.h to hogī magar pahlī kiran dekhegā kaun
apnī apnī aag meñ āñkheñ jhulas kar rah ga.iiñ
tere lab ke phuul terā bāñkpan dekhegā kaun
log to apne gharoñ meñ band ho kar rah ga.e
mere ḳhuuñ se surḳhī-e-shām-e-vatan dekhegā kaun
mere bāhar to sabā kā lams hai ḳhushbū bhī hai
mujh meñ aa kar mere andar kī ghuTan dekhegā kaun
log to pūjeñge ḳhud mere tarāshīda ḳhudā
kaun hai 'āzar' ḳhudā-e-fikr-o-fan dekhegā kaun
Top Urdushayar.com