Syed Iqbal Rizvi Sharib

waqt-e-mushkil mein bhi honTon par hansi achchhi lagi

Syed Iqbal Rizvi Sharib

Lucknow, Uttar pradesh, India

1958
vaqt-e-mushkil meñ bhī hoñToñ par hañsī achchhī lagī
mere ḳhāliq ko mirī ye bandagī achchhī lagī
Dho rahā thā bas yūñhī maiñ aaj tak apnā vajūd
tum se mil kar mujh ko apnī zindagī achchhī lagī
bas lihāzan pheñk kar cigaret kināre ho gayā
mujh ko nasl-e-nau kī ye sharmindagī achchhī lagī
lab tumhāre miir kī us pañkhuḌī ke misl haiñ
is liye mujh ko merī tishna-labī achchhī lagī
ḳhuun ke rishte hue jab bhī kabhī nazr-e-anā
bhaa.ī ko mahfil meñ bhaa.ī kī kamī achchhī lagī
sūrat-o-sīrat kā vo itnā hasīñ thā imtizāj
ahl-e-dānish ko mirī dīvāngī achchhī lagī
chand urdu lafz bhī shāmil the jumloñ meñ tire
is liye 'shārib' unheñ bolī tirī achchhī lagī
Top Urdushayar.com