Syed Iqbal Rizvi Sharib

mat KHuda DhunD sawalat ke aaine mein

Syed Iqbal Rizvi Sharib

Lucknow, Uttar pradesh, India

1958
mat ḳhudā DhūñD savālāt ke ā.īne meñ
is ko pahchān ināyāt ke ā.īne meñ
mā.il-e-haq bhī hai aasī bhī anā vaalā bhī
vo jo rahtā hai mirī zaat ke ā.īne meñ
kuchh raqam hai mirī qismat bhī tire hāthoñ meñ
sab nahīñ miltā mire haat ke ā.īne meñ
jañg jaarī hai merī nafs-e-amāra se hanūz
jab se dekhā tujhe barsāt ke ā.īne meñ
qalb jab tak na munavvar ho yaqīn-e-kul se
vasvase paale hai shub.hāt ke ā.īne meñ
rishte be-laus fazā meñ jo janam lete haiñ
vo nahīñ TūTte hālāt ke ā.īne meñ
qurb-e-shabbīr hai kyā re kī hukūmat kyā hai
hur ne sab dekh liyā raat ke ā.īne meñ
ġhair bhī sūñgh liyā karte haiñ aksar 'shārib'
ik mohabbat tirī har baat ke ā.īne meñ
Top Urdushayar.com