majbūriyoñ kā paas bhī kuchh thā vafā ke saath
vo rāste se phir gayā kuchh duur aa ke saath
qurb-e-badan se kam na hue dil ke fāsle
ik umr kaT ga.ī kisī nā-āshnā ke saath
saath us ke rah sake na baġhair us ke rah sake
ye rabt hai charāġh kā kaisā havā ke saath
maiñ jheltā rahā huuñ azaab is kā umr bhar
bachpan meñ ek ahd kiyā thā ḳhudā ke saath
pahle to ek ḳhāna-e-vīrāñ kā shor thā
ab dil bhī gūñjtā hai ḳharosh-e-havā ke saath
ye rañg-e-dast-e-nāz yūñhī to nahīñ 'salīm'
dil kā lahū bhī sarf huā hai hinā ke saath