nayā mazmūñ kitāb-e-zīst kā huuñ
nihāyat ġhaur se sochā gayā huuñ
suneñ mujh ko to maiñ dhaḌkan huuñ dil kī
nahīñ sunte to sahrā kī sadā huuñ
mirī jānib koī aa.e to pūchhūñ
nishān-e-rāh huuñ manzil huuñ kyā huuñ
kisī ko kyā batā.ūñ kaun huuñ maiñ
ki apnī dāstāñ bhūlā huā huuñ
ḳhud apnī diid se andhī haiñ āñkheñ
ḳhud apnī guuñj se bahrā huā huuñ
mirī sairābiyoñ meñ tishnagī hai
ki maiñ dariyā huuñ lekin ret kā huuñ
vo ran mujh meñ paḌā hai ḳhair o shar kā
ki apnī zaat meñ ik karbalā huuñ
mirā siina hai chhalnī nai kī sūrat
inhīñ zaḳhmoñ se maiñ naġhma-sarā huuñ
mujhe shabnam kā ā.īna milā hai
isī meñ gul kī sūrat dekhtā huuñ
mirī maujūdgī se bandagī hai
ki jab se gum huā huuñ maiñ ḳhudā huuñ