Saleem Ahmed

jaane kisi ne kya kaha tez hawa ke shor mein

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
jaane kisī ne kyā kahā tez havā ke shor meñ
mujh se sunā nahīñ gayā tez havā ke shor meñ
maiñ bhī tujhe na sun sakā tū bhī mujhe na sun sakā
tujh se huā mukālima tez havā ke shor meñ
kashtiyoñ vaale be-ḳhabar baḌhte rahe bhañvar kī samt
aur maiñ chīḳhtā rahā tez havā ke shor meñ
merī zabān-e-ātishīñ lau thī mire charāġh kī
merā charāġh chup na thā tez havā ke shor meñ
jaise ḳharosh-e-bahr meñ shor-e-parind Duub jaa.e
Duub ga.ī mirī sadā tez havā ke shor meñ
nauhagarān-e-shām-e-ġham tum ne sunā nahīñ magar
kaisā ajiib dard thā tez havā ke shor meñ
mere makāñ kī chhat pe the tā.er-e-shab Dare Dare
jaise payām-e-marg thā tez havā ke shor meñ
minnat-e-gosh-e-be-hisāñ kaun uThā.e ab 'salīm'
nauha-e-ġham milā diyā tez havā ke shor meñ
Top Urdushayar.com