Saleem Ahmed

mujhko dushwar hua jis ka nazara tanha

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
mujh ko dushvār huā jis kā nazārā tanhā
kaash mil jaa.e kahīñ mujh ko dobārā tanhā
ai shab-e-hijr mujhe tū ne to dekhā hogā
merī mānind na thā subah kā taarā tanhā
tum na Thahre to kahāñ mauj-e-gurezāñ ruktī
merī āġhosh kī sūrat hai kinārā tanhā
uzr kyā kyā na tarāshā kiye arbāb-e-havas
jaan dene kā huā ishq ko yaarā tanhā
yuuñ bhī mahsūs huā jaise ki maiñ hī to huuñ
ek lamhe meñ jise maiñ ne guzārā tanhā
yuuñ to duniyā meñ bahut haiñ ki rahe haiñ nākām
bāzī-e-ishq ko maiñ jaan ke haarā tanhā
tū ne ai yaar azīzāñ ye ināyat kyuuñ kī
zindagī yuuñ bhī na thī mujh ko gavārā tanhā
Top Urdushayar.com