ā.ankhoñ meñ sitāre se chamakte rahe tā-der
ik ghar ke dar-o-bām ko takte rahe tā-der
aañsū to hue ḳhushk pa girya rahā jaarī
bachchoñ kī tarah ro ke sisakte rahe tā-der
us shāḳh se ik mār-e-siyah lipTā huā thā
lekin vahīñ taa.ir bhī chahakte rahe tā-der
kyā lams thā us dast-e-hinā.ī kā tah-e-āb
añgāre se hāthoñ meñ dahakte rahe tā-der
ik aag sī jaltī rahī tā-umr lahū meñ
ham apne hī ehsās meñ pakte rahe tā-der
vo garmī-e-anfās vo jaaḌe kī ḳhunuk raat
ehsās meñ sho.ale se lapakte rahe tā-der