Saleem Ahmed

main sar chhupaun kahan saya-e-nazar ke baghair

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
maiñ sar chhupā.ūñ kahāñ sāya-e-nazar ke baġhair
ki tere shahr meñ rahtā huuñ aur ghar ke baġhair
mujhe vo shiddat-e-ehsās de ki dekh sukūñ
tujhe qarīb se aur minnat-e-nazar ke baġhair
ye shahr zehn se ḳhālī numū se aarī hai
balā.eñ phirtī haiñ yaañ dast o pā o sar ke baġhair
nikal ga.e haiñ jo bādal barasne vaale the
ye shahr aab ko tarsegā chashm-e-tar ke baġhair
koī nahīñ jo patā de diloñ kī hālat kā
ki saare shahr ke aḳhbār haiñ ḳhabar ke baġhair
maiñ paañv toḌ ke baiThā rahā kahīñ na gayā
'salīm' manzileñ tai ho ga.iiñ safar ke baġhair
Top Urdushayar.com