Saleem Ahmed

kuchh hain manzar haal ke kuchh KHwab mustaqbil ke hain

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
kuchh haiñ manzar haal ke kuchh ḳhvāb mustaqbil ke haiñ
ye tamannā aañkh kī hai vo taqāze dil ke haiñ
ham ne ye nairañgiyāñ bhī dahr kī dekhīñ ki log
dost haiñ maqtūl ke aur ham-navā qātil ke haiñ
umr saarī raah ke patthar haTāte kaT ga.ī
zaḳhm mere haath meñ ik sa.i-e-lā-hāsil ke haiñ
ik dhanak lahrā rahī hai āñsuoñ ke darmiyāñ
merī ā.ankhoñ meñ abhī tak rañg us mahfil ke haiñ
is se aage kaun jaa.e dasht-e-nā-mālūm meñ
ham na kahte the ki saare ham-safar manzil ke haiñ
in ko tūfānoñ se kyā matlab bhañvar se kyā ġharaz
dost jitne haiñ tamāshā.ī faqat sāhil ke haiñ
tū jise apnā samajhtā hai vo māl-e-ġhair hai
tere hāthoñ meñ jo sikke haiñ kisī saa.il ke haiñ
jāñchtī hai ġhair ko har lahza chashm-e-aib-jū
naqsh mujh meñ jitne haiñ saare kisī kāmil ke haiñ
Top Urdushayar.com