Saleem Ahmed

dil ke andar dard aankhon mein nami ban jaiye

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
dil ke andar dard āñkhoñ meñ namī ban jā.iye
is tarah miliye ki juzv-e-zindagī ban jā.iye
ik patiñge ne ye apne raqs-e-āḳhir meñ kahā
raushnī ke saath rahiye raushnī ban jā.iye
jis tarah dariyā bujhā sakte nahīñ sahrā kī pyaas
apne andar ek aisī tishnagī ban jā.iye
devtā banñe kī hasrat meñ muallaq ho ga.e
ab zarā nīche utariye aadmī ban jā.iye
aql-e-kul ban kar to duniyā kī haqīqat dekh lī
dil ye kahtā hai ki ab dīvāngī ban jā.iye
jis tarah ḳhālī añgūThī ko nagīna chāhiye
ālam-e-imkāñ meñ ik aisī kamī ban jā.iye
ālam-e-kasrat nihāñ hai is ikaa.ī meñ 'salīm'
ḳhud meñ ḳhud ko jam.a kiije aur ka.ī ban jā.iye
Top Urdushayar.com