diloñ meñ dard bhartā aañkh meñ gauhar banātā huuñ
jinheñ maa.eñ pahantī haiñ maiñ vo zevar banātā huuñ
ġhanīm-e-vaqt ke hamle kā mujh ko ḳhauf rahtā hai
maiñ kāġhaz ke sipāhī kaaT kar lashkar banātā huuñ
purānī kashtiyāñ haiñ mere mallāhoñ kī qismat meñ
maiñ un ke bādbāñ siitā huuñ aur lañgar banātā huuñ
ye dhartī merī maañ hai is kī izzat mujh ko pyārī hai
maiñ is ke sar chhupāne ke liye chādar banātā huuñ
ye sochā hai ki ab ḳhāna-badoshī kar ke dekhūñgā
koī aafat hī aatī hai agar maiñ ghar banātā huuñ
harīfān-e-fusūñ-gar mū-qalam hai mere hāthoñ meñ
yahī merā asā hai is se maiñ azhdar banātā huuñ
mire ḳhvāboñ pe jab tīra-shabī yalġhār kartī hai
maiñ kirneñ gūñdhtā huuñ chāñd se paikar banātā huuñ