Rahat Indori

kaam sab ghair-zaruri hain jo sab karte hain

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
kaam sab ġhair-zarūrī haiñ jo sab karte haiñ
aur ham kuchh nahīñ karte haiñ ġhazab karte haiñ
aap kī nazroñ meñ sūraj kī hai jitnī azmat
ham charāġhoñ kā bhī utnā hī adab karte haiñ
ham pe hākim kā koī hukm nahīñ chaltā hai
ham qalandar haiñ shahanshāh laqab karte haiñ
dekhiye jis ko use dhun hai masīhā.ī kī
aaj kal shahr ke bīmār matab karte haiñ
ḳhud ko patthar sā banā rakkhā hai kuchh logoñ ne
bol sakte haiñ magar baat hī kab karte haiñ
ek ik pal ko kitāboñ kī tarah paḌhne lage
umr bhar jo na kiyā ham ne vo ab karte haiñ
Top Urdushayar.com