Saleem Ahmed

mujhe in aate jate mausamon se Dar nahin lagta

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
mujhe in aate jaate mausamoñ se Dar nahīñ lagtā
na.e aur pur-azīyat manzaroñ se Dar nahīñ lagtā
ḳhamoshī ke haiñ āñgan aur sannāTe kī dīvāreñ
ye kaise log haiñ jin ko gharoñ se Dar nahīñ lagtā
mujhe is kāġhzī kashtī pe ik andhā bharosā hai
ki tūfāñ meñ bhī gahre pāniyoñ se Dar nahīñ lagtā
samundar chīḳhtā rahtā hai pas-manzar meñ aur mujh ko
andhere meñ akele sāhiloñ se Dar nahīñ lagtā
ye kaise log haiñ sadiyoñ kī vīrānī meñ rahte haiñ
inheñ kamroñ kī bosīda chhatoñ se Dar nahīñ lagtā
mujhe kuchh aisī āñkheñ chāhiyeñ apne rafīqoñ meñ
jinheñ bebāk sachche ā.inoñ se Dar nahīñ lagtā
mire pīchhe kahāñ aa.e ho nā-mālūm kī dhun meñ
tumheñ kyā in andhere rāstoñ se Dar nahīñ lagtā
ye mumkin hai vo un ko maut kī sarhad pe le jaa.eñ
parindoñ ko magar apne paroñ se Dar nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com