milā jo kaam ġham-e-mo'tabar banāne kā
hunar us aañkh ko aayā na ghar banāne kā
tujhī se ḳhvāb haiñ mere tujhī se bedārī
tujhe salīqa hai shām-o-sahar banāne kā
maiñ apne pīchhe sitāroñ ko chhoḌ aayā huuñ
mujhe dimāġh nahīñ ham-safar banāne kā
ye mere hāthoñ meñ patthar haiñ aur raat hai sard
maiñ kaam letā huuñ un se sharar banāne kā
sarā.e meñ koī ik shab ruke to baat hai aur
magar savāl hai duniyā ko ghar banāne kā
makāñ ke naqshe pe dīvār likh diyā kis ne
yahāñ to merā irāda thā dar banāne kā
ye aur baat ki manzil-fareb thā lekin
hunar vo jāntā thā ham-safar banāne kā
vo log kashtī o sāhil kī fikr kyā karte
jinheñ hai hausla dariyā meñ ghar banāne kā
har ek tuḳhm ko rizq-e-shikam-purī na samajh
hunar bhī siikh zamīñ se shajar banāne kā
bahut tavīl mirī dāstān-e-ġham thī magar
ġhazal se kaam liyā muḳhtasar banāne kā