Saleem Ahmed

ban ke duniya ka tamasha moatabar ho jaenge

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
ban ke duniyā kā tamāshā mo'atabar ho jā.eñge
sab ko hañstā dekh kar ham chashm-e-tar ho jā.eñge
mujh ko qadroñ ke badalne se ye hogā fā.eda
mere jitne aib haiñ saare hunar ho jā.eñge
aaj apne jism ko tū jis qadar chāhe chhupā
rafta rafta tere kapḌe muḳhtasar ho jā.eñge
rafta rafta un se uḌ jā.egī yakjā.ī kī bū
aaj jo ghar meñ vo sab dīvār-o-dar ho jā.eñge
aate jaate rahravoñ ko dekhtā huuñ is tarah
raah chalte log jaise ham-safar ho jā.eñge
aadmī ḳhud apne andar karbalā ban jā.egā
saare jazbe ḳhair ke nezoñ pe sar ho jā.eñge
garmi-e-raftār se vo aag hai zer-e-qadam
mere naqsh-e-pā charāġh-e-rahguzar ho jā.eñge
kaise qisse the ki chhiḌ jaa.eñ to uḌ jaatī thī niiñd
kyā ḳhabar thī vo bhī harf-e-muḳhtasar ho jā.eñge
kyā kaheñ aise taqāze haiñ mohabbat ke to ham
apnī betābī se ham raqs-e-sharar ho jā.eñge
ek saa.at aisī aa.egī ki ye vasl o firāq
mere rañg-e-be-dilī se yak-digar ho jā.eñge
kāḳh-o-kū-e-ahl-e-daulat kī binā hai ret par
ik dhamāke se ye sab zer-o-zabar ho jā.eñge
ye ajab shab hai unheñ sone na do varna 'salīm'
ḳhvāb bachchoñ ke liye vahshat-asar ho jā.eñge
Top Urdushayar.com