bazm āḳhir huī sham.oñ kā dhuāñ baaqī hai
chashm-e-nam meñ shab-e-rafta kā samāñ baaqī hai
kaT ga.ī umr koī yaad na manzar na ḳhayāl
ek be-nām sā ehsās-e-ziyāñ baaqī hai
kis kī jānib nigarāñ haiñ mirī be-ḳhvāb āñkheñ
kyā koī marhala-e-umr-e-ravāñ baaqī hai
silsile us kī nigāhoñ ke bahut duur ga.e
kār-e-dil ḳhatm huā kār-e-jahāñ baaqī hai
haa.e ab tak vahī andāz-e-nazar hai us kā
ab bhī ik silsila-e-vahm-o-gumāñ baaqī hai
aaj ik umr meñ us aañkh ne pūchhā hai 'salīm'
ab bhī kyā pahlī sī be-tābī-e-jāñ baaqī hai