Saleem Ahmed

jo aankhon ke taqaze hain wo nazzare banata hun

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
jo āñkhoñ ke taqāze haiñ vo nazzāre banātā huuñ
añdherī raat hai kāġhaz pe maiñ taare banātā huuñ
mohalle vaale mere kār-e-be-masraf pe hañste haiñ
maiñ bachchoñ ke liye galiyoñ meñ ġhubbāre banātā huuñ
vo lorī gā.eñgī aur un meñ bachchoñ ko sulā.eñgī
maiñ maaoñ ke liye phūloñ ke gahvāre banātā huuñ
fazā-e-nīl-gūñ meñ hasrat-e-parvāz to dekho
maiñ uḌne ke liye kāġhaz ke tayyāre banātā huuñ
mujhe rañgoñ se apne hairateñ taḳhlīq karnī haiñ
kabhī titlī kabhī jugnū kabhī taare banātā huuñ
zamīñ yaḳh-basta ho jaatī hai jab jāḌoñ kī rātoñ meñ
maiñ apne dil ko sulgātā huuñ añgāre banātā huuñ
tirā dast-e-hinā.ī dekh kar mujh ko ḳhayāl aayā
maiñ apne ḳhuun se lafzoñ ke gul-pāre banātā huuñ
mujhe ik kaam aatā hai ye lafzoñ ke banāne kā
kabhī mīThe banātā huuñ kabhī khāre banātā huuñ
bulandī kī talab hai aur andar intishār itnā
so apne shahr kī saḌkoñ pe favvāre banātā huuñ
Top Urdushayar.com