ḳhud apnī lau meñ thā mehrāb-e-jāñ meñ jaltā thā
vo musht-e-ḳhāk thā lekin charāġh jaisā thā
vo gum huā to mazāmīn ho ga.e be-rabt
vahī to thā jo mirā markazī havāla thā
mire ḳhayāl kī tajsīm hai vajūd tirā
tire liye baḌī shiddat se maiñ ne sochā thā
vo sirf apnī hudūd-o-quyūd kā niklā
us ek shaḳhs ko kyā kyā samajh ke chāhā thā
makāñ banā ke use band kar diyā varna
ye rāsta kisī manzil ko jaane vaalā thā
ye vāqi.a hai ki ham ne vo rū-e-nādīda
baġhair minnat-e-chashm-o-nigāh dekhā thā
muāni-e-shab-e-tārīk khul rahe the 'salīm'
jahāñ charāġh nahīñ thā vahāñ ujālā thā