jo baat dil meñ thī vo kab zabān par aa.ī
sunā rahā hai fasāne fareb-e-goyā.ī
na.e charāġh sar-e-rahguzar jalā aa.ī
havā-e-nik.hat-e-gul thī ki merī bīnā.ī
tū garm raat meñ ThanDī havā kā jhoñkā thā
zarā qarīb se guzrā to niiñd sī aa.ī
jo baat tujh meñ hai vo dūsroñ meñ kyā miltī
jo baat mujh meñ hai tū ne bhī vo kahāñ paa.ī
vo yaad aa.e to dil aur ho gayā vīrāñ
vo mil ga.e to baḌhā aur dard-e-tanhā.ī
bahut dinoñ se mirā dil udaas bhī to nahīñ
bahut dinoñ se tirī yaad bhī nahīñ aa.ī
'salīm' qurb se bhī tishnagī nahīñ jaatī
ye baat sāhil-o-dariyā ne mujh ko samjhā.ī