Saleem Ahmed

kin naqabon mein hai mastur wo husn-e-masum

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
kin naqāboñ meñ hai mastūr vo husn-e-ma.asūm
ai mirī chashm-e-gunahgār tujhe kyā mālūm
hāl-e-dil qābil-e-iz.hār nahīñ hai varna
mere chup rahne kā kuchh aur nahīñ hai mafhūm
ajnabī huuñ maiñ tire shahr-e-karam meñ ai dost
kyā hai is shahr kā dastūr mujhe kyā ma.alūm
dil-e-ḳhush-fahm ye kahtā thā bulā legā koī
jab maiñ uTThā thā tirī bazm se ho kar maġhmūm
vo shab-e-hijr vo āsār-e-sahar aur dil meñ
Dūbtī TūTtī miTtī huī yādoñ kā hujūm
ek paikār hai ḳhud se jise kahte haiñ vafā
husn-e-nā-karda tamannā ko vafā kyā ma.alūm
tālib-e-dād-e-suḳhan aap bhī haiñ kis se 'salīm'
vo ki haiñ jis kī ḳhamoshī meñ bhī lākhoñ mafhūm
Top Urdushayar.com