jā ke ye kah de koī sho.aloñ se chiñgārī se
phuul is baar khile haiñ baḌī tayyārī se
apnī har saañs ko nīlām kiyā hai maiñ ne
log āsān hue haiñ baḌī dushvārī se
zehn meñ jab bhī tire ḳhat kī ibārat chamkī
ek ḳhushbū sī nikalne lagī almārī se
shāhazāde se mulāqāt to nā-mumkin hai
chaliye mil aate haiñ chal kar kisī darbārī se
bādshāhoñ se bhī pheñke hue sikke na liye
ham ne ḳhairāt bhī māñgī hai to ḳhuddārī se