Saleem Ahmed

KHair ka tujhko yaqin hai aur usko shar ka hai

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
ḳhair kā tujh ko yaqīñ hai aur us ko shar kā hai
donoñ haq par haiñ ki jhagḌā sirf pas-manzar kā hai
āñsuoñ se tū hai ḳhālī dard se aarī huuñ maiñ
terī āñkheñ kāñch kī haiñ merā dil patthar kā hai
kaun dafnātā use vo ik barahana laash thī
sab ne pūchhā kaun hai vo kaun se lashkar kā hai
tū sukūñ se thak gayā hai aur betābī se maiñ
shauq hai tujh ko safar kā aur mujh ko ghar kā hai
ek paudā sehn meñ thā dhuup khā kar jal gayā
sirf merā hī nahīñ hai rañj ye ghar bhar kā hai
sochtā rahtā huuñ maiñ terī uḌāneñ dekh kar
ye havā kā zor hai yā tere bāl-o-par kā hai
ek būḌhe ne kiyā asr-e-ravāñ pe tabsira
ye zamāna aadmī kā hai ki zor-o-zar kā hai
maiñ ne sīñchā hai lahū se is dil-e-sar-sabz ko
umr bhar se ye ilāqa merī chashm-e-tar kā hai
maiñ simaT kar leTtā huuñ bistar-e-idrāk par
paañv phailā.ūñ to andesha mujhe chādar kā hai
is masāfat kā mudāvā tujh se bhī mumkin nahīñ
zaḳhm-e-dil se kuchh ziyāda zaḳhm mere sar kā hai
ik tabīb-e-ādmiyat ne kahā hai saaf saaf
zahr duniyā kī ragoñ meñ sab fasād-e-zar kā hai
dekh kar insān ko kahtī hai saarī kā.enāt
ye to ham meñ se nahīñ hai ye koī bāhar kā hai
saarī kaḌiyāñ toḌ diiñ maiñ ne mohabbat ke sivā
kaun toḌegā ise ye jabr to andar kā hai
Top Urdushayar.com