ye ḳhvāb aur bhī dekheñge raat baaqī hai
abhī to ai dil-e-zinda hayāt baaqī hai
mire lahū meñ abhī tark-e-ishq ke bā-vasf
vo garmī-e-nigah-e-iltifāt baaqī hai
abhī to zauq-e-talab meñ kamī nahīñ aa.ī
abhī mirā safar-e-be-jihāt baaqī hai
jo ho sake to shahādat-gah-e-nazar meñ aa
ye dekh ishq meñ kitnā sabāt baaqī hai
ye kā.enāt abhī ek intizār meñ hai
ki hone vaalī koī vārdāt baaqī hai
ḳhud apnī raakh se tū jī uThe sharar kī tarah
ye mo.ajiza abhī ai kā.enāt baaqī hai
shab-e-visāl meñ din bhī milā na leñ ai dost
ki raat ḳhatm huī aur baat baaqī hai
huī hai shāḳh-e-hunar meñ na.ī numū ab ke
'salīm' barg-e-ḳhizāñ se najāt baaqī hai